KAL KO TO AANA HI HAI
Kal ko to aana hi hai ,
Dukh sukh ki gathri ko lana hi hai ,
Samay to chalta hi jayega,
Tu apne aap ko badalta hi jayega ,
Aaj ke rangeen hisse kal ho na ho ,
Jindagi ke hasein sapne kal ho na ho ,
Tu aaj jee , tu abhi to jee ,
Apne hone ka wo pal to jee ,
Soch zara ,
Tere aaj ko , tera kal hi ban na hai ,
Tu khud apni yadoon ko aansu banayega ,
Kal bhi tere lamhein tujhko hi rulayenge ,
Bhool ja kal ki hawa ko aaj ko mehsoos kar ,
Soch le ye pal jo hain ,
Wo hain yahin naa hai kahin ,
Kushiyon ko godi mein bhar ke ,
Aaj ko tu jee zara ,
Kyun sochta hai kal ka ,
Kya pata kya dikhlayega ,
Kal ko toh aana hi hai ,
Dukh sukh ki ghatri ko laana hi hai .
- ANKIT MISHRA
THATS FABULOUS...YOU HAVE AN AMAZING FLOW IN YOUR WRITING....KEEP UP THE GOOD WORK
ReplyDeletethanx bhai ..
ReplyDelete